I was cleaning up my mailbox today, and randomly reading old letters before deleting them all. This poem by Faiz peeped out of a letter dated March 15, 2004:
Farz karo hum ehl-e-wafa hon, Farz karo deewane hon
Farz karo ye dono baatein jhooti hon afsane hon
Farz karo ye ji ji bipta ji se jor sunai ho
Farz karo abhi aur ho itni, aadhi hum ne chupai ho
Farz karo tumhe khush karne ke dhoonde hum ne bahane
hon
Farz karo ye nain tumhare sach much ke mai-khane hon
Farz karo ye rog ho jhoota, jhooti preet humari ho
Farz karo is preet ke rog main sans bhi hum par bhari
ho
Farz karo ye jog bajog ka dhong hum ne rachaya ho
Farz karo bas yehi haqeeqat baaki sab kuch maya ho
4 comments:
:)
vah vah , kya baat hai
Bahut zabardast.....aik drama main yeh song bhi thaa.... it was really nice! :)
it is actually by Insha G
Post a Comment