July 01, 2005

Sarkar: Bekaar

Showbaazi:

Bahut achchi thi. Camera aur light sahi jagah par rakhe the. Ramu bhaiyya ne apni buddhi galat jagah rakh di bas.

Music:

Bahut zor ka tha bhai sahib. Sachmuch. Khopdi phat gayi meri to. Abhi doctor se stich karva ke aa rahi hoon. Aur Abhishek ko baar baar Govinda kyun yaad aa raha tha?

Ladies:

MMS matlab Multiple Mangal Sutra. Sab ladies log ne do-do mangalsutra pehne the. Hopefully do alag-alag pati ke liye nahin. Sabne aadi-tedhi bindi bhi lagayi thi. Aur woh Kajol ji behen…. Line maar rahi thi solid. Lahaulvilakuwat. Ek aur behenji theen. Boli to kuchh nahin, par unke face pe likha tha: “main weight gain kiye bina Shefali Chhaya banna chahti hoon.” Supriya Pathak to bahut royi bhai sahib. Kya bataun. Katrina Kaif bhi thi, agar kisi ko pasand ho to.

Gents:

Sabhi bahut achchi acting kar rahe the. Mujhe lagta hai Ramu bhaiyya sahi bole: Amitabh ka ladka Amitabh se achha hai. Bhagwaan kare ladka khoob tarakki kare. Aur jo KK bhaiyya hain kya kaatilaana acting karte hain maloom? Woh to baap-bete dono ke baap hain. Ramu bhaiyya ne agar ek kahaani likh di hoti in teenon becharon ke liye to kya unki amma ki gaiyya mar jaati?

Result:

Aisi hi ghatiya movies ke liye piracy waale samaaj seva karte hain. Hamare saath jo gaye the, unki kursi mein kaante ugne lage, to hum log movie khatam hone se dus minute pehle hi bhaag liye. Kisi ne poori dekhi ho to bataana bhai sahib. Shayad end mein hi kuchh dekhne laayak raha ho. Koi item number ya kuchh? Waise kam kapdon waali behenji bhi is picture ko nahin bacha sakti.

12 comments:

Hornswoggler said...

achcha hua bata diya...that husband of mine wanted to watch this

Kraz Arkin said...

I like Katrina Kaif.

Anonymous said...

which movie is this?

Parna

lemongrass.b logdrive.com

Domesticated Bachelor said...

read Raja Sen's take on the movie on rediff.com

eismcsquare said...

humm... pretty insightful review - for sure. Seriously. Still laughing.:-)

But hey! I like Katrina Kaif - Salman ko itni bad-dua-e aise hi nahi mili hai..

Tipsy Topsy said...

Paisa bachane ke liye shukriya.

Anonymous said...

That bad huh? But am still gonna watch it you know. RGV must have done a few things right at least. No?

Anonymous said...

1. RGV's skill shows through all of what you said.
2. I loved Amitji's performance...
3. Abhishek, despite his angry-and-static look, did pretty well.
4. This movie was really well shot, the technical expertise is well worth the money we paid.
5. Can't help it if you're more fond of SRK and Hum baagh baagh hai movies. :P

Wah, review me maza aa gaya lekin.
-- Heretic

Ink Spill said...

@ The Heretic
1. RGV's skill was not at its best: not even up to Naach standards.
2. All the three ladka log were amazing.
3. Amitabh Bachchan died of happiness when I called him ladka log.
4. Bahut achchi shooting thi bhaiyya. Bole to hum.
5. SRK aur Bagh Bagh ka naam mat lo. Yuck!

Anonymous said...

Bas ab hum kya kahein?
Govinda govinda :))
-- Heretic

heretic said...

Kal raat phir se dekha, aur abhi lag raha hai ke bahut achcha laga. :-)

The loose ends are kinda irritating, but overall, it befits the genre, even if the passion of Agneepath or the sheer intensity of Nayakan (NOT Dayavan) or Satya are missing.

Bottomline: I liked it. :))

cactusjump said...

great review! liked the one on 'hazaaron khwaishen...' too!