Ghar ki har ghadi alag waqt bataati hai
Aur kyun nahin?
Waqt kahan sab ke liye ek sa hota hai bhala?
Padhai ke kamre mein din raat baraabar hain
Amma ke kamre mein ek ghanta tez, mere mein ek ghanta dheemi,
Ghadiyon ke hisaab se to hum sabhi sahi waqt par uth lete hain na!
Daftar ke kamre mein hamesha zara tez, bahut kaam hai bhai
Aur rasoi mein?
Wahan to waqt hai beti ki shaadi ka.
Koi ghadi shayad standard time se milti bhi ho,
Par zyadaatar ne apne standard khud banaa liye hain
3 comments:
ye tuney nahin likha methinks. well?
main nahin to kaun likhega?
dunno. doesn't like you. too pure mebbe, not kinky enough.
Post a Comment