June 25, 2006

A Prayer (And The Unbearable Weight Of Memory)

Aye maalik tere bande hum, aise hon hamaare karam
neki par chalein, aaur badi se talein, taaki hanste hue nikale dum

ye andheraa ghanaa chhaa rahaa, teraa insaan ghabaraa rahaa
ho rahaa bekhabar, kuchh naa aataa nazar, sukh kaa sooraj chhoopaa jaa rahaa
hai teree roshanee mein jo dam, tu amaawas ko kar de poonam
neki par chalein, aaur badi se talein, taaki hanste hue nikale dum

badaa kamazor hain aadamee, abhee laakhon hain is mein kamee
par tu jo khadaa, hai dayaaloo badaa, teree kirpaa se dharatee thamee
diyaa toone humein jab janam, tu hi jhelegaa hum sab ke gham
neki par chalein, aaur badi se talein, taaki hanste hue nikale dum

jab zulmon kaa ho saamanaa, tab tu hi humein thaamanaa
wo buraee kare, hum bhalaaee bhare, nahin badale kee ho kaamanaa
badh uthhe pyaar kaa har kadam aaur mite bair kaa ye bharam
neki par chalein, aaur badi se talein, taaki hanste hue nikale dum

2 comments:

Anonymous said...

correction please:-
hai teri roshani mein wo dum
jo amaavas ko kar de poonam......


weight of which memory?
please mail / tell online :)

- u no who!

Tom said...

I am looking for en translation of this. Could you help me?